Powered by UITechs
Get password? Username Password
 
 
Page 1 of 1

  Reply to Topic    Printer Friendly 

AuthorTopic
kaukab
Moderator

PAKISTAN
Topic initiated on Thursday, June 1, 2006  -  7:17 AM Reply with quote
رویّے


جب دو سائنس دانوں کے درمیان اختلاف ہوتا ہے تو وہ اختلاف دور کرنے کے لیے ٹبوت تلاش کرتے ہیں-جس کے حق میں ٹھوس اور واضح ثبوت مل جاتے ہیں اس کی راۓ صحیح قرار پاتی ہے ایسا اس لیے ہے کہ سائنس دان ہونے کی حیثیت سے ان دونوں میں سے کوئ بھی خود کو بے خطا خیال نہیں کرتا-دونوں سمجھتے ہیں کہ کہ وہ غلطی پر ہوسکتے ہیں- اس کے برخلاف جب دو مذہبی علماء میں اختلاف پیدا ہوتا ہےتو وہ دونوں سمجھتے ہیں کہ ان سے کوئ غلطی نہیں ہوسکتی -ان میں سے ہر ایک یہ سمجھتاہے کہ صرف وہی راستی پر ہے لہذا ان کے درمیان فیصلہ نہیں ہوپاتا-بس یہ ہوتا ہے کہ دونوں ایک دوسرے سے نفرت کرنے لگتے ہیں کیونکہ دونوں کو یقین ہوت ہے کہ دوسرا نہ صرف غلطی پر ہے بلکہ راہ راست سے ہٹا ہونے کے باعث گناہ گار ہے-اس صورت میں ظاہر ہےکہ جذبات بھڑک اٹھتے ہیں اورنظری مسائل حل کرنے کے لیے دنگا فساد تک نوبت پہنچ جاتی ہے[برٹرینڈرسل]
raushan

UNITED ARAB EMIRATES
Posted - Wednesday, June 7, 2006  -  11:01 AM Reply with quote
scientists hon ya mazhabi ulema donon he apne nazariye ko durust sabit karne ke liye pahle daleel he dete hain...magar taqleedi zehan ki wajah se aisa aksar hota hai ke ulema ye samjhte hain ke jo kuchh daleelein unke pass hain wahi kaafi hain ya unmein ghaltiyan ho he nahin sakti ..iske bar aks scientist ka zehan ijtehadana hota hai woh her nayi haqeeqat ko agar saboot ke saath pesh ki gayi ho to use accept karta hai...
doosri cheez hai ke ulema mein eteraaf ki kami hai .."main he sahi hoon"..yeh ehsaas mushkilaat paida karta hai jabke "meri raye sahi hai lekin mumkin hai ke meri nazar us mauzoo ke her pahlu pe na padi ho is wajah kar main ghalat bhi ho sakta hoon"..aisi soch ho to problem nahin aati...

agli baat ye ke is baat ko usool ke taur pe manna ke insan ko Allah pak ne azad paida kiya hai uske sochne pe aur amal pe bhi ..magar hum ye karte hain ke apne khyaalat zabardasti manwana chahte hain..hamara kaam sirf ye hai ke jo kuchh bhi sahi lagta ho use apne taur pe behtareen andaz mein logon tak pahunchaayein ab manna na maanna unke ikhtiyar mein hai uski koi zimmewari pahunchane wale pe nahin hai...kyun ke hamein sirf pahunchane ki zimmewari di gayi hai logon pe darogha nahin banaya gaya hai..

akhiri baat ye ke naa manne pe kufr ke fatwe likhna bazaat e khud bid'at hai kyunke iska saboot us daur mein nahin milta jis daur ke logon ki pairwi hamare imaan ka juz hai

Reply to Topic    Printer Friendly
Jump To:

Page 1 of 1


Share |


Copyright Studying-Islam © 2003-7  | Privacy Policy  | Code of Conduct  | An Affiliate of Al-Mawrid Institute of Islamic Sciences ®
Top    





eXTReMe Tracker