Author | Topic |
libra
PAKISTAN
|
Topic initiated on Thursday, June 10, 2004 - 6:20 AM
SUNNAH YA BIDDA'T??
Course kay ander Sunnah aur bidda’t ki bahis main bidda’t ki missal millad say dee gai hay , mera sawal hay ,, kia kisi bhi moqa per khushi munana ya ghum kerna deen main shamil hay? Kia deen srif khushi ya ghum kay aadab nahi sikhata? Ager Nabi (SW) ki padaish ki khushi manana deen main shamil hi nahi aur koi iss ko deen sumjh ker kerta hi nahi to phir yeh bidd’at kaisay ho gai? |
|
atifrafi
PAKISTAN
|
Posted - Friday, June 11, 2004 - 12:11 PM
|
atifrafi
PAKISTAN
|
Posted - Friday, June 11, 2004 - 12:48 PM
|
StudyingIslamUK
UNITED KINGDOM
|
Posted - Friday, June 11, 2004 - 3:10 PM
[Assalamualaykum (ham ney urdu may type karnay ki koshish kee magar text roman urdu may hi zahir ho raha hey. Quran may iss deen kay aanay per khushean mananay ka zikr hay. Waq kaay sath loon nay uss ko nabi sws key zaat kay saath mansoob kar kay usay meelad key shakal day dee hay. Kuch ulama isay bidat e hasanah kahtay hain kewn kay iss main koi naach gaana waghara nahee hota balkay allah aur nabi sws ka zikr hota hay. Laykin iss surat may quran aur hadees key mehfilen to pooray ssal honi chahiyan. Iss ko sirf rabiulawwal tak mahdood karna drust nahe. Nasreen (studying islam circle, berks)
Quran hamain bunyadi hidayat day kar baqi hamari aql per chorta hay. Khushee aur gham manany ka tareeqa mutawazan ya balanced hona chaheyai.jiss say waqt ka ya koi aur maali ya jismani nuqsaa na ho. Insaan tu had say guzra tu younus alehsalam key taubah ko machli kay pait kay waqay kee wajha say uss nay tasbeehan bhi paani may dubo deen aur andheron may jaa basa. Zindagi may tawazan bohat mushkil hay magar quran main yahee musalaman ummat key khasiat bayan kee gai hay. Ghausia. (studying islam circle, berks)
Maray khayal main kewnkay isslaam khushe aur gham key had batata hay aur iss main hadsey guzrnay say mana karta hay, iss leay nabi sws nay shohar kay siwa baqi tamam kay liay teen din say ziyada maut ka sog mananay say mana farmaya. Agarcheh dill kay gham par tu ikhtiyar nahee hota. Isee tarha islam nay khushee kay bhi do din saal main muqarrar kar deay hayn. Iss kay ilawa infiradi aur khandani zindageon may jo moqay atay hain. Najeeba. (studying islam circle, berks)
[]Kewn keh nabi sws nay apni zindagi main iss tarha ki khushee nahee manai maslan hazrat ibrahim ya eessa alahsalam ki padaish ke dinon per, to milad ka koi jawaz nahee banta. Chahay deen samajh kar karain yaa nahee, maera khayal hay kewnkeh yeh banai hoi rasm hai aur deen kay naam per ki jati hay, tu bidat hee kehlai gee. Essai behan bhai jaysay chrismas manatay hayn aur deen ki rooh bohat kam milti hay balkay turkey aur Christmas tree aur father Christmas aur tohfon per saara zor hota hay , hamaray haan bhi ahasta ahasta deen bas gham aur khushee ka gathra hee banta ja raha hay aur amal kam say kam ho raha hay jo lamha e fikryya hay. Parween(studying islam circle, berks)[/
Edited by: StudyingIslamUK on Friday, June 11, 2004 4:04 PM |
|
atifrafi
PAKISTAN
|
Posted - Friday, June 11, 2004 - 5:01 PM
Agar woh kaam jo hazoor (sws) ne nahin kia woh ab nahin kia ja sakta, chahay deen samajh karein ya nahin, to phir sirf Milaad hi nahin balkay aur bhi bohat se aisay kaam hain jo hum log kartay hain. Misaal ke taur pe Namaaz Taraweeh. Mujhe yaqeen hai ke aap log yehi kahain gay ke yeh jamaat Hazoor (sws) ne bhi karwai thi.
Main bhi yeh manta hoon, lekin kabhi yeh socha hai ke hazoor pak (sws) ne jamaat karwai magar baad main mana farma di ( jo bhi wajah thi ) aur phir kabhi jamaat nahin karwai. TO jo kaam apnay mana farma diya hum aaj woh kaam kiyun kartay hain.
Waisay Khana Kaaba main Tahajjud ki namaaz bhi ba'Jamaat hoti hai. us ke baray main kia khayaal hai.
Aur Milaad sirf Rabiul awwal main nahin hota. Yeh zaroor hai ke is maah mubarak main ziada hota hai lekin waisay bhi hota zaroor hai. |
|
Siddiq Bukhary Moderator
PAKISTAN
|
Posted - Saturday, June 12, 2004 - 9:26 AM
لبرا صاحب کے شروع کردہ موضوع پر بحث اچھی ہو رہی ہے ان سے اور باقی تما م طلبا سے بھی گزارش ہے کہ وہ اس سلسلے میں مزید اظہار خیال فرمائیں- شکریہ |
|
libra
PAKISTAN
|
Posted - Saturday, June 12, 2004 - 4:05 PM
Bradrum Rafi sahib, Aap ki dilchuspi ka shukeria.... jee han!!!! main nay app ki tujveez kerda site per almost sub hi postings dekhi hain....Meray khial main Islam ko samjhnay kay liyay do cheezoon ki bahut zaroorat hoti hay, Ilam aur Baseerat, in doonon main ya aik main kami badi hilakat ka bais bun sakti hay,, mujhay wahan doonon ki shadeed kami nazar aai..baherhal mojooda site per jo main nay swal uthaya hay yeh kisi aam bahis ya forum ka sawal nahi hay bulkay main yahan SUNNAH kay hawalay say aik course ka talib ilm hoon, jis ka slaybus pudhtay hoay mujhay "Bidda't" ki mud main Millad ki misal nazar aai, jo keh meri nakis ra'ay main drust nahi hay,, kion keh khushi munana ya ghum ka izhar kerna Deen ka hissa hi nahi hay..Millad per is hawalay say to bahis ho sukti hay keh jo kuch millad per hota hay woh drost nahi hay,, koi sahib yeh ra'ay bhi day suktay hain keh yeh bilkul drust treekay say hota hay..muger aik dum yeh keh dena keh yeh aik "bddia't" hay kam uz kam meri sumjh say to balatur hay. Iss trah to ager kisi waqat muslims ko khial aay keh Ftah Mukkah aik azeem kamyabi thi aur Hazoor (SW) nay aik baymisaal khutba atta furmaya tha...lehaza muslims ko baydar kernay kay liyay us ki yaad her saal munai jaay aur us azeem khutbay say tamasuk rukhnay kay liyay saminar munaqad kiyay jain,,to phir to yeh kam bhi "bidda't' ho jay ga...... To guzarish hay keh iss silsilay main mujhay apnay fazil ustad-e-girami jo is course kay modrator hain ki aalimana, fazillana ra'ay ka shidaat say intazar hay.. meri un say dust busta guzarish hay keh wo juld apni ra'ay say hum jaisay nakisul aqal loggon ko mustafeez furmain aur btain keh :Millad" ko wo kis daleel kay tahit Bidda't" kay dairay main shamil kertay hain.? bahut bahut shukria..... deegar rung brungi postings kay baray main, maain kisi ra'ay kay izhar ki zaroorat mehsoos nahi kerta. |
|
StudyingIslamUK
UNITED KINGDOM
|
Posted - Sunday, June 13, 2004 - 8:41 AM
"deegar rung brungi postings kay baray main, maain kisi ra'ay kay izhar ki zaroorat mehsoos nahi kerta. ham apni agli rang barangi postings insha'Allah aglay circle main course main aagay barhtay hoay aur mazeed tabadla e khayall kay baad bhayjayn gay.jab tak aap jari rakhain. its interesting salams/peace
Edited by: StudyingIslamUK on Sunday, June 13, 2004 8:52 AM |
|
libra
PAKISTAN
|
Posted - Monday, June 14, 2004 - 9:32 AM
Yahan Main aik baat ki wazahat ker dena zaroori sumajhta hoon keh .. Millad kay baray main bahis ya sawal uthanay ka mera muksad, iss kay siwa aur kch nahi hay keh ager yeh daleel kay sath sabit ho jay keh Haazoor(SW) ki wiladat ki khushi munnana Bida’at hay to meray jaisy ya mohtrum atifrafi jaisay log jin kay khial main Hazoor(SW) ka millad Bidaa’t nahi hay apnay aqaid ki drustagi ker lain.. aur ager yeh baat sabit na ho saakay to phir course main aik aisi baat jo sabit nahi hay ko khtum kia ja sukay taakeh tulba main wo baat rasikh na ho jay jo Islam say mutabkat nahi rukhti |
|
Siddiq Bukhary Moderator
PAKISTAN
|
Posted - Monday, June 14, 2004 - 11:55 AM
دلچسپ بات یہ ہے کہ سارے ’’فسانے ‘‘ میں جس کا ذکر تک نہ تھا وہ ’’بات‘‘ موضوع بحث بن گ ہے- کو رس میں علی الاطلاق یہ کہیں نہیں کہا گیا کہ میلاد النبی کا جلوس بدعت ہے-بلکہ اس بات کی مثال میں ضمنا یہ بات آ گئی ہے کہ وہ چیزیں جو سنت نہیں ہوتیں ان کی ابتدا سے یہ معلوم ہو جاتا ہے کہ یہ سنت نہیں ہیں جیسے اس جلوس کی ابتدا بیسویں صدی میں ہوئی-یہ جلوس بدعت تو تب کہلائے گا جب اس کو سنت قرار دیا جائے گا-ہم نے تو کورس میں یہ لکھا ہے کہ اس کے حامی بھی صراحت سے یہ دعوی نہیں کرتے کہ یہ ایسی سنت ہے کہ اس کی ابتدا خود نبی سے ہوئی ہے یا کہ یہ سنت ہم تک صحابہ کے تواتر اور اجماع سے پہنچی ہے - بہر حال میلاد النبی کا جلوس بدعت تب کہلائے گا جب اس کو سنت قرار دیا جائے گا- خوشی منانے کے طریقے کو بدعت نہیں قرار دیا جا سکتا البتہ اس میں اگر کسی اور پہلو سے کسی دینی حکم کی خلاف ورزی ہوتی ہو تو اس کی نکیر کی جائے گی نہ کہ خوشی منانے کو بدعت کہا جائے گا- میر ی گزارش ہے کہ کورس کا زیر بحث حصہ پھر سے درج ہے اسے ایک دفعہ پھر سے پڑھیے اور پھر فیصلہ کیجیے کہ ہم نے کہاں اس کو بدعت قرار دیا ہے؟ (ایسی تمام بدعات کے بارے میں یہ بات اظہر من الشمس ہے کہ یا تو اصل سنت میں کوئی انحراف پیدا کیا جاتا ہے اور یا پھر سنت کے نام پر بالکل ہی نئی بدعت گھڑ لی جاتی ہے۔ مگر ایسی کوئی بھی کوشش کبھی بھی چھپی نہیں رہ سکی۔ امت نے اس کا فوری نوٹس لیا حتی کہ بدعات کے بانیان اور ان کے محرکات بھی جان لیے گئے اور ایسی ہر کوشش کی بھر پور مزاحمت کی گئی۔ اس طرح تمام بدعات اپنے پورے شجرۂ نسب کے ساتھ تاریخ کے صفحات میں محفوظ کر لی گئیں ہیں اور ان کی وجہ سے سنت کو پہچاننا اور بھی آسان ہو گیا ہے۔ مثلا برصغیر پاک و ہند میں بارہ ربیع الاول کو میلاد النبی کا جو جلوس نکالا جاتا ہے اس کے بارے میں اچھی طرح معلوم ہو گیا ہے کہ اس کی ابتدا بیسویں صدی میں ہوئی۔ اس جلوس کے حامی بھی صراحت سے یہ دعوی نہیں کرتے کہ یہ ایسی سنت ہے جس کی ابتدا خود نبیۖ سے ہوئی ہے یا یہ کہ یہ سنت ہم تک صحابہ کے تواتر اور اجماع سے پہنچی ہے)۔ |
|
libra
PAKISTAN
|
Posted - Tuesday, June 15, 2004 - 8:55 AM
Mohtrum Bukhari sahib ki posting say Alhamdolilah aik baat to wazih ho gai keh, Millad apnay app main Bida’at nahi hay .. haan us ko kis trah say manaya jata hay us per aitraz ho sukta hay Keh yeh treeqa Islam kay asoolon say mutabqat rukhta hay ya nahi….. rung brungi postings walay student khas tor per not furma lain. Jahan tuk course main shamil tehreer kay mutan ki baat hay,,,,us ko bar bar purnay kay ba’ad bhi mera khial main Isal tehreer main millad ko Bida;at ki aik missal kay tor per paish kia jana bahut wizih hay…mujhay hairat hay mohtrum bukhari sahib ki nazar iss tuk kion nahi pahonch rahi…… Sila’ay aam hay yaran-e-nukta da’an kay liyay…
Tamam dostoon say guzarish hay keh iss baat ko bhool ker keh millad sunnah hay Ya bida’at ,,,, Bracket kay under tehreer kay mutaliq apni apni ra’ay dain :.. kia iss tehreer main Millad kay jaloos ko bida’at ki aik missal kay tor per paish kia gia hay ya nahi?……khas tor per meri atifrafi sahib say guzarsih hay wo zaroor apni ra’ay say musatafeez furmain. |
|
atifrafi
PAKISTAN
|
Posted - Tuesday, June 15, 2004 - 4:39 PM
Mohataram Libra sahib aur baki tamaam shuraka ko salaam aur maafi chahta hoon ke kuch waqt ki kami ki wajah se kafi arsay se yahan pe main jawaab nahin de saka.
Libra sahib, aap mera point shayed ghalat samjhain hain. Main ne jo website aap ko batai thi, wahan pe mujhe bhi is baat ka shadeed ihsaas hai ke Ilm aur Baseerat dono main kafi kami hai. Main bhi apnay aap ko isi level pa samajhta hoon. Aap to kam as kam yahan pe regulat course parh rahay hain, main to abhi yahan ka student bhi nahin hoon. Waisay agar apnay wahan pe bhi mere posts parhay hoon to apko yeh zaroor pata chala ho ga ke main bhi isi khayaal ka haami hoon ke Milud un Nabi (sws) bidaat nahin hai, aur apko us website ka reference is liye diya tha ke aap apni qeemti raye se hamain bhi koi mufeed mashwara dein. Khair, Aik baat to clear kar lein ke main bhi Milaad ko Bidaat nahin manta aur apko website ka reference is liye diya tha ke aap wahan pe meri kuch madad karein :)
Baki jahan tak baat hai ke Course Text main jo misaal di gayee hai, sach poochain to usko parh ke lagta to aisay hi hai ke yahan pe Milaad ko Bidaat ki misaal ke taur pe pesh kiya gaya hai LEKIN main Dr. Javed Ghamidi sahib ko personally janta hoon aur unkay kafi lectures attend kiyay hain, mere khayaal main yahan shayed jo kehna maqsood tha usko sahih tareeqay se likha nahin ja saka. Kiyunkay Javed Sahib ki aik intahai achi adat yeh hai ke woh bila wajah kisi bhi baat pe comments nahin kartay. Mera to yehi khayaal hai, baki ALLAH behtar janta hai.
Aur libra sahib, please itni izzat na dein, yaqeen karein main is ke qabil nahin hoon ke meri rai se koi mustafeez ho. intahi naqis ul aqal kism ka banda hoon aur filhaal kuch koshish start ki hai Islaam ke baray main kuch jannay ki. Aap bhi mere haq main dua karein. |
|
libra
PAKISTAN
|
Posted - Tuesday, June 15, 2004 - 5:50 PM
Brother atifrafi, App nay shaid meri tehreer ko ghor say nahi pura, main nay app ko apnay sath un logon main shamil kia tha jo millad ko bida’at nahi sumajhtay… Jahan tuk Javid sahib ki baat hay main bhi un ki bahut izat kerta hoon aur un kay lecture sunta hoon,,,, un say zati tor per bhi mil chukka hoon….laikin sawal hay kia un ko uss muqam per bitha diya jay jahan per yeh maan liya jay keh wo ghulti nahi ker suktay? Aur wo khud jis kay khilaf hain ? Jahan tuk main un ko janta hoon wo khud ko ikhtlaf say bala nahi sumjhtay .bulkay musbat ikhtlaf ko bahut pasand kertay hain. Baharhal vote meri rai kay huq main denay ka shukria,,mujhay iss say bahut hosla mila…. Allah app ko aur sab ko Haq ki baseerat atta furmaiy aur phir us per sabit qadam rukhay.aameen.
Edited by: libra on Wednesday, June 16, 2004 8:23 AM |
|
atifrafi
PAKISTAN
|
Posted - Tuesday, June 15, 2004 - 9:51 PM
Brother Libra, bhai pehle to aap apna naam kiyun nahin batatay? Just kidding! Jahan tak is baat ka tallaq hai ke Javed sb koi ghalti nahin ker saktay to mere khayaal main is duniya main koi bhi admi 100% perfect nahin hai. Yehi baat Javed sb bhi kahtay hain aur unki yehi baat mujhe bohat pasand hai. Mera kahnay ka matlab yeh nahin tha ke Unhon ne aisa kaha ya nahin kaha, main sirf apni aqal ke mutabiq jitna Javed sb ki tabiat ko samjha hoon, itna kaha tha ke mere khayaal main yahan oe woh kehna maqsood tha nahin jaisa lag raha hai ( ya jaisa hum samajh rahay hain ). Mere khayaal main Bukhary sahib ne bhi yehi baat ki hai. Dekhain agar woh khud keh rahay hain to aakhir koi to wajah hai. Yeh zaroor ho sakta hai ke woh in ilfaaz ko jis tarah dekh rahay hain hum waisay nahin samajh rahay. Ho sakta hai woh theek hoon aur yeh bhi ho sakta hai ke yahan pe hamara khayaal theek ho. I m sure ke moderator sahib in words ko behtar karnay kay baray main sochain gay takay yeh confusion khatam ki ja sakay. |
|
libra
PAKISTAN
|
Posted - Sunday, June 20, 2004 - 9:17 AM
Bradrum, Course kee isal text main writer ki jo bhi niyaat ya maqsad ho, Laikin kia yeh haqeeqat nahi hay keh iss say ishkaal paida ho raha hay? app bhi yeh baat maan chukay hain keh, iss tehreer say yeh lugta hay keh Millad kay jaloos ko bida’at ki aik missal kay tor per paaissh kia gia hay.. Mera point hay Choonkay baat Islam ki taleemaat ki hay iss liyay aisa ishkal kion paida kia jaaiy jis say meray jaisay kum fahim log wo mutlab sumjhain jis ki koi asal nahi hay?? |
|
Nasreen
UNITED KINGDOM
|
Posted - Tuesday, June 22, 2004 - 11:47 AM
aray bhai libra itnay baray Sunnat kay course main aap to bas milad hee ko lay kar baith gaey. aur kuch naheen hay kya iss main seekhnay kay leeay?
chalain zara maharbani kar kay thora saa time iss discussion kay eay bhi nikalain agar waqt ho
ibrahim alah salam kay asl waris muslim hain yaa muslim aur yahood donon aur agar donon hain tu kewn?
doosray yeh kay iss waqt teen baray mazahib main say kawn saa hay jo ibaadaat, maashrat, maashiat, har lehaz say mukammal kehlay ga. meray khyal mein tu islam hay magar mujhay pataa chal raha hay keh yeh yahoodiat hay? kaisay?
bohat shukryyah
umeed hay aap nay comment mind naheen kiya ho ga
assalamu aleikum
Mrs. nasreen akhtar |
|
Reply to Topic
Printer Friendly |
Jump To: |
|
|
|